% ITRANS SONG # rmim0224; Created on Jan 26, 2004 % % nani 11/13/3 % \startsong \stitle{duniyaa me.n har kisii kii}% \film{Chhota Bhai}% \year{1949}% \starring{Molina Devi, Shakoor}% \singer{Chorus}% \music{Pankaj Mullick}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: dhananjay naniwadekar % Date: 12 nov 2003 % Comments: Geetanjali Series. Chhotaa Bhaaii. % New Theatres, Kolkata. % Manju of Rattan fame is said to be one of the % singers in this song. % \printtitle #indian % duniyaa me.n har kisii kii qismat judaa\-judaa hai ek motiyo.n se khele ek Kaak me.n milaa hai ek wo hai jo maze se phuulo.n pe so rahaa hai aur duusaraa bichaaraa kaaTo.n pe ro rahaa hai ajii tum hii kaho ye kaisaa insaaf ho rahaa hai duniyaa me.n har kisii kii \threedots paisaa hai paas jis ke duniyaa hai us ke bas me.n duniyaa usii ko maane jo khaaye.n jhuuTii qasme.n ajii tum hii kaho samajh kar achchhii hai.n kyaa ye rasme.n duniyaa me.n har kisii kii \threedots sab ek jagah pe baiThe har koii ek saaraa uu.Nchaa na koii niichaa chhoTaa ho naa ba.Daa ho ban jaaye saarii duniyaa ek ghar to kyaa mazaa hai duniyaa me.n har kisii kii \threedots % #endindian \endsong %