% ITRANS SONG # rmim0427; Created on Jan 26, 2004 % \startsong \stitle{kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate}% \film{Gul Sanobar}% \year{1953}% \starring{Shyama, Shammi Kapoor}% \singer{Lata}% \music{Khayyam}% \lyrics{Kaif Irfani}% % % Contributor: Srinivas Ganti % Transliterator:Srinivas Ganti % Date: 19 Feb, 2003 % \printtitle #indian % (kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate)\-2 bahut se raaz aise hai.n jo samajhaaye nahii.n jaate kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate (kaii dil TuuT jaate hai.n, sadaa ? tak bhii nahii.n aatii)\-2 hazaaro.n dard aise hai.n kasak jinakii nahii.n jaatii kasak jinakii nahii.n jaatii bahut se zakm aise hai.n jo dikhalaaye nahii.n jaate bahut se raaz aise hai.n jo samajhaaye nahii.n jaate kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate (kahii.n ? mahafil ho duniyaa kii, vahii hai dil kii tanahaaii)\-2 (na jaane aaj kyaa aayaa, hamaarii aa.Nkh bhar aaii)\-2 ye kaise giit hai.n ai dil, jo gaaye bhii nahii.n jaate bahut see raaz aise hai.n, jo samajhaaye nahii.n jaate kahii.n aise bhii aa.Nsuu hai.n jo aa.Nkho.n me.n nahii.n aate % #endindian \endsong %