giitaayan An Interface to ISB

vo dekho jalaa ghar kisii kaa - Hamrahi (1963)  

Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
vo dekho jalaa ghar kisii kaa ye TuuTe hai.n kisake sitaare vo qismat ha.Nsii aur aise ha.Nsii ke rone lage Gam ke maare vo dekho jalaa ... gayaa jaise jho.nkaa havaa kaa hamaarii Kushii kaa zamaanaa di_e hamako qismat ne aa.Nsuu jab aayaa hame.n muskaraanaa binaa hamasafar hai suunii Dagar kidhar jaa_e.N ham besahaare vo dekho jalaa ... hai.n raahe.n kaThin duur ma.nzil ye chhaayaa hai kaisaa a.Ndheraa ki ab chaa.Nd-suuraj bhii milakar nahii.n kar sakegaa saveraa ghaTaa chhaa_egii bahaar aa_egii naa aa_e.Nge vo din hamaare vo dekho jalaa ... idhar ro rahii hai.n aa.Nkhe.n udhar aasamaa.N ro rahaa hai mujhe kar ke barabaad zaalim pashemaan ab ho rahaa hai ye barakhaa kabhii to ruk jaa_egii ruke.nge naa aa.Nsuu hamaare vo dekho jalaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.