ki : naukarii sau kii hazaar kii qiimat nahii.n hotii pyaar kii
pyaar anamol hai ek miiThaa bol hai
miiThii-miiThii baate.n yaar kii
naukarii sau kii ...
do : naukarii sau kii ...
ki : mushqil raaho.n se aksar bachakar log nikalate hai.n
phuulo.n ke jo aashiq hai.n vo kaa.NTo.n pe chalate hai.n
chho.D ke galiyaa.N bahaar kii
a : naukarii sau kii ...
do : naukarii sau kii ...
a : pyaar nahii.n karataa ko_ii daulat ke diivaano.n se
vo kyaa jaane.n farq hai kyaa dil aur dukaano.n me.n
dil amaanat diladaar kii
do : naukarii sau kii ...
ki : barasegii ban ke ghaTaa ye apanii jo pyaas hai
a : ye apanii jo pyaas hai
ham jaage usake li_e ab vo subah paas hai
ki : vo subah paas hai
do : raat biitii intazaar kii
naukarii sau kii ...
|