jahaa.N me.n jinakii ummiido.n ke be.De paar hote hai.n
vo Kushqismat hazaaro.n me.n kahii.n do-chaar hote hai.n
bahut puradard hai ai sunane vaalo.n daastaa.N merii
go Gam kii daastaa.N merii
hazaaro.n ra.nj hai.n aur ek jaan-e-naatavaa.N merii
vo jaan-e-naatavaa.N merii
bahut puradard hai ...
% tavaa.N: physical strength, naa-tavaa: weakling
safar vo zindagii kyo.n tuune bakhshaa bakhshane vaale
o bakhshane vaale
zaraa ye bhii bataa de aake ma.nzil hai kahaa.N merii
ki ma.nzil hai kahaa.N merii
bahut puradard hai ...
muhabbat aur naakaamii ( javaanii aur barabaadii ) -2
inhii.n do chaar lafzo.n me.n ( chhupii hai daastaa.N merii ) -2
bahut puradard hai ...
|