giitaayan An Interface to ISB

zindagii me.n aap aa_e ho ga_ii duniyaa hasii.n - Chhalia (1973)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: R D Burman | Singer(s): Mukesh, Vaani Jairam 
View in Nagari (Hindi)
mu : zindagii me.n aap aa_e ho ga_ii duniyaa hasii.n bhar gayaa phuulo.n se daaman ab kamii.n ko_ii nahii.n vaa : zindagii me.n aap ... mu : jhuumakar yuu.N aa_ii.n bahaare.n khil ga_ii dil kii har kalii vaa : pyaar ne aavaaz dekar ye kahaa aa merii galii jisako maine duur samajhaa kyaa pataa aaj vo hai yahii.n mu : zindagii me.n aap ... vaa : ab naa shikavaa hai naa shikaayat dil se dil aise mile mu : muskaraakar tumane dekhaa miT ga_e saare gile pyaar ne ho to ye duniyaa rahane ke qaabil hii nahii.n mu : zindagii me.n aap ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.