tanhaa_ii tanhaa_ii
dil ke raaste me.n kaisii Thokar maine khaa_ii
TuuTe khvaab saare ek maayuusii hai chhaa_ii
har khushii so ga_ii zi.ndagii kho ga_ii
tum ko jo pyaar kiyaa maine to sazaa me.n paa_ii
tanhaa_ii tanhaa_ii
miilo.n hai phailii hu_ii tanhaa_ii
khvaab me.n dekhaa thaa ik aa.Nchal maine apane haatho.n me.n
ab TuuTe sapano.n ke shiishe chubhate hai.n in aa.Nkho.n me.n
kal ko_ii thaa yahii.n ab ko_ii bhii nahii.n
ban ke naagin jaise hai saa.Nso.n me.n laharaa_ii
tanhaa_ii tanhaa_ii palako.n pe kitane aa.Nsuu hai laa_ii
kyuu.N aisii ummiid kii maine jo aise naakaam hu_ii
duur banaa_ii thii ma.nzil to raste me.n hii shaam hu_ii
ab kahaa.N jaa_uu.N mai.n kis ko samajhaa_uu.N mai.n
kyaa maine chaahaa thaa aur kyuu.N kismat me.n aa_ii
tanhaa_ii tanhaa_ii
jaise a.ndhero.n kii ho gaharaa_ii
dil ke raaste me.n ...
tanhaa_ii tanhaa_ii tanhaa_ii tanhaa_ii
|