giitaayan An Interface to ISB

chhup gaye saare nazaare oye kyaa baat ho ga_ii - Do Raaste (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
la : chhup gaye saare nazaare oye kyaa baat ho ga_ii -2 ra : tuune kaajal lagaayaa din me.n raat ho ga_ii -2 mil gaye nainaa se nainaa oye kyaa baat ho ga_ii -2 la : dil ne dil ko pukaaraa mulaaqaat ho ga_ii -2 ra : ( kal nahii.n aanaa mujhe naa bulaanaa ke maaregaa taanaa zamaanaa ) -2 tere ho.nTho.n pe raat ye bahaanaa thaa gorii tujhako to aaj nahii.n aanaa thaa tuu chalii aa_ii duhaa_ii oye kyaa baat ho ga_ii -2 la : maine chho.Daa zamaanaa tere saath ho ga_ii o maine chho.Daa zamaanaa tere saath ho ga_ii ra : tuune kaajal lagaayaa din me.n raat ho ga_ii la : ( ambu_aa kii Daalii pe gaaye matavaalii koyaliyaa kaalii niraalii ) -2 saawan aane kaa kuchh matalab hogaa baadal chhaane kaa ko_ii sabab hogaa rimajhim chhaaye.N ghaTaaye.N oye kyaa baat ho ga_ii -2 ra : terii chunarii laharaa_ii barasaat ho ga_ii -2 la : dil ne dil ko pukaaraa mulaaqaat ho ga_ii la : ( chho.D na ba_iyaa.N pa.Duu.N tere pa_iyaa.N taaro.n kii chhai.nyaa.N me.n sai.nyaa.N ) -2 ra : ek wo din thaa milaatii na thii tuu a.Nkhiyaa.N ek ye din hai tuu jaage saarii-saarii ratiyaa.N ban ga_ii gorii chakorii oye kyaa baat ho ga_ii -2 la : jisakaa Dar thaa bedardii wahii baat ho ga_ii ho jisakaa Dar thaa bedardii wahii baat ho ga_ii chhup gaye saare nazaare oye kyaa baat ho ga_ii do : dil ne dil ko pukaaraa mulaaqaat ho ga_ii -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.