fizaa fizaa fizaa he fizaa
tuu havaa hai fizaa hai zamii.n kii nahii.n
tuu ghaTaa hai to phir kyuu.N barasatii nahii.n
u.Datii rahatii hai tuu pa.nchhiyo.n kii tarah
aa mere aashiyaane me.n aa
mai.n havaa huu.N kahii.n bhii Thaharatii nahii.n
ruk bhii jaa_uu.N kahii.n par to rahatii nahii.n
maine tinake uThaa_e hu_e hai.n paro.n par aashiyaanaa nahii.n hai meraa
ghane ek pe.D se mujhe jhoo.nkaa ko_ii le ke aayaa hai
suukhe ik patte kii tarah havaa ne har taraf u.Daayaa hai
aanaa aa he aanaa aa ik dafaa is zamii.n se uThe.n
paa.Nv rakhe.n havaa par zaraa saa u.De
chal chale.n ham jahaa.N ko_ii rastaa na ho
ko_ii rahataa na ho ko_ii basataa na ho
kahate hai.n aa.Nkho.n me.n milatii hai aisii jagah
fizaa fizaa ...
tum mile to kyuu.N lagaa mujhe khud se mulaakaat ho ga_ii
kuchh bhii to kahaa nahii.n magar zi.ndagii se baat ho ga_ii
aanaa aa he aanaa aa saath baiThe.n zaraa der ko
haath thaame.n rahe.n aur kuchh naa kahe.n
chhuu ke dekhe.n to aa.Nkho.n kii khaamoshiyaa.N
kitanii chupachaap hotii hai.n saragoshiyaa.N
sunate hai.n aa.Nkho.n me.n hotii hai aisii sadaa
fizaa fizaa ...
|