giitaayan An Interface to ISB

lagii hai aag dil me.n ... qismat ke sitaare Duub ga_e - Hulchul (1951)  

Lyrics: Khumar Barabankwi | Music: Mohammed Shafi | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
ra : lagii hai aag dil me.n aa.Nkh se aa.Nsuu barasate hai.n banii hai jaan par ham tumase milane ko tarasate hai.n la : qismat ke sitaare Duub ga_e haay milane kaa sahaaraa ko_ii nahii.n -2 ra : tum hamase judaa ham tumase judaa -2 duniyaa me.n hamaaraa ko_ii nahii.n -2 la : ulfat kaa zamaanaa biit gayaa ham haar ga_e jag jiit gayaa haay jiit gayaa jiine kaa sahaaraa ko_ii nahii.n -2 ab biitii hu_ii yaado.n ke sivaa -2 ra : chhaayaa hai a.Ndheraa aa jaa_o tum leke saveraa aa jaa_o haay aa jaa_o raate.n hai.n a.Ndherii ulfat kii -2 ummiid kaa taaraa ko_ii nahii.n -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.