giitaayan An Interface to ISB

ai aasamaa.N ke raahii ... haay saavan ban ga_e nain - Krorepati (1961)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
ai aasamaa.N ke raahii tuu hii gavaah rahanaa thamataa nahii.n hai kabase in aa.Nsu_o.n kaa bahanaa teraa agar guzar ho is desh kii taraf se ko_ii ta.Dap rahaa hai itanaa hii unase kahanaa haay saavan ban ga_e nain saavan ban ga_e nain piyaa bin saavan ban ga_e nain suunaa-suunaa ghar hai balam bin suune hai.n din-rain ho puuchho na jii ke bain saavan ban ga_e ... nain hamaare ga.ngaa-jamanaa baadal se ye haragiz kam naa mushqil hai a.Nsuvan kaa thamanaa kaTatii nahii.n mose birahaa kii rain saavan ban ga_e ... dil ke chhaale phuuT ga_e hai.n pyaar ke taare TuuT ga_e hai.n chor mere man luuT ga_e hai.n milataa nahii.n mujh abhaagan ko chain saavan ban ga_e ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.