giitaayan An Interface to ISB

terii hastii hai kyaa jo miTaa_egaa ... sar gariibo.n kaa tuu kyaa jhukaa_egaa - Lohaa (1986)  

Lyrics: Farooq Kaisar | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kavita Subramaniam, Shabbir Kumar, Anuradha Paudwal 
View in Nagari (Hindi)
terii hastii hai kyaa jo miTaa_egaa sar gariibo.n kaa tuu kyaa jhukaa_egaa kyaa jhukaa_egaa saa.Ns jab tak hai ham to naache.nge aas jab tak hai ham to naache.nge jisane paidaa kiyaa vo bachaa_egaa sar gariibo.n kaa ... apane ghu.ngharuu kii kasam naachate jaa_e.nge ham jaan jaa_e ke rahe ab na roke.nge kadam laagii tan man me.n agan ab ye phailegii jalan kaa.Np jaa_egii zamiin sar jhukaa degaa gagan Gam uThaanaa likhaa hai muqaddar me.n dil jalaanaa likhaa hai muqaddar me.n isakii marjii hai kyaa tuu nachaa_egaa sar gariibo.n kaa ... tere sar pe cha.Dhaa jhuuThii taakat kaa nashaa tujhako maaluum nahii.n haal kyaa hogaa teraa hai teraa naam buraa hai teraa kaam buraa yaad rakh hogaa yahii.n teraa a.njaam buraa khaalii jaataa nahii.n vaar aaho.n kaa tujhako badalaa milegaa gunaaho.n kaa naav kaagaz kii kab tak chalaa_egaa sar gariibo.n kaa ... khuun bahataa hai jahaa.n aag lagatii hai vahaa.n aaj zulmo.n kaa tere faisalaa hogaa yahaa.n bach ke jaa_egaa na tuu chain paa_egaa na tuu ra.ng laataa hai sadaa begunaaho.n kaa lahuu aasamaa.n vaalaa i.nsaaf karataa hai jisane jaisaa kiyaa vaisaa bharataa hai ghar kaa diipak hii ghar ko jalaa_egaa sar gariibo.n kaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.