phir zarraa mahakegaa khushbuu ke mausam aa_e.nge
phir chinaar kii shaakho.n pe pa.nchhii ghar banaa_e.nge
in raaho.n se jaane vaale phir lauT ke vaapas aa_e.nge
phir jannat kii galiyo.n me.n sab log ye nagame.n gaa_e.nge
ri.nd posh maal gi.ndane dhraa_e lo lo
ri.nd posh maal ...
saragam ke miiThe miiThe sur gholo
ri.nd posh maal ...
he aayaa huu.N mai.n pyaar kaa ye nagamaa sunaane
saarii duniyaa ko ik sur me.n sajaane
sabake dilo.n se nafarato.n ko miTaane
aa_o yaaro.n mere sa.ng sa.ng bolo he
ri.nd posh maal ...
jiit le jo sabake dil ko aisaa ko_ii giit gaa_o he he
dostii kaa saaz chhe.Do dushmanii ko bhuul jaa_o
aa_o yaaro.n mere he
ri.nd posh maal ...
sa.ngiit me.n hai aisii phuhaar
patajha.D me.n bhii jo laa_e bahaar
sa.ngiit ko naa roke diivaar
sa.ngiit jaa_e sarahad ke paar
ho sa.ngiit maane naa dharm jaat
sa.ngiit se ju.Dii qaayanaat
sa.ngiit kii naa ko_ii zubaan
sa.ngiit me.n hai giitaa quraan
sa.ngiit me.n hai allaah-o-raam
sa.ngiit me.n hai duniyaa tamaam
tuufaano.n kaa bhii rukh mo.Dataa hai
sa.ngiit TuuTe dil ko jo.Dataa hai
ri.nd posh maal ...
|