vo ban sa.nvar ke chale hai.n ghar se
hai.n kho_e kho_e se beKabar se
dupaTTaa Dhalakaa hu_aa hai sar se
Kudaa bachaa_e burii nazar se
vo ban sa.nvar ke ...
kabhii javaanii kii bekhudii me.n
jo ghar se baahar kadam nikaalo
sunahare gaalo.n pe merii maano
tum ek kaalaa saa til sajaa lo
badan kaa sonaa churaa le saaraa
ko_ii nazar uTh ke kab kidhar se
Kudaa bachaa_e ...
ye narm-o-naazuk hasiin se lab
ke jaise do phuul ho.n ka.nval ke
ye gore mukha.De pe laal ra.ngat
ke jaise holii kaa ra.ng chhalake
sa.mbhaalo in lambii choTiyo.n ko
lipaT na jaa_e.N kahii.n kamar se
Kudaa bachaa_e ...
ye shahar pattharo.n kaa shahar Thaharaa
kahaa.N milegii yahaa.N mohabbat
ye shiishe jaisaa badan tumhaaraa
merii du_aa hai rahe salaamat
tumhaare sapano.n kii nanhii.n kaliyaa.N
bachii rahe.n dhuup ke asar se
Kudaa bachaa_e ...
|