giitaayan An Interface to ISB

ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n - The One And Only Malika Pukhraj (Non-Film)  

Lyrics:  | Music:  | Singer(s): Malika Pukhraj 
View in Nagari (Hindi)
ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n kyaa sunaaye.n ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa duniyaa ne kar diyaa hai diiwaanaa haa.N kyaa bataaye.n kyaa bataaye.n ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa sab zaKm bhar chuke hai.n sab Kaab mar chuke hai.n -2 ab kis ummiid par ham shamme na_ii jalaaye.n afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n kyaa sunaaye.n ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa in kashtiyo.n kaa kyaa hai aksar yahii hu_aa hai -2 tuufaan se nikal kar saahil pe Duub jaaye.n afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n kyaa sunaaye.n ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa kab saath umar bhar kaa ham dil-zado.n ne chaahaa -2 par hamasafar hamaare kuchh duur tak to aaye.n afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.