giitaayan An Interface to ISB

apanaa to zamaane me.n itanaa hii fasaanaa hai - Nayaa Andaaz (1956)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: O P Nayyar | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
apanaa to zamaane me.n itanaa hii fasaanaa hai kuchh ham bhii diivaane hai.n kuchh dil bhii diivaanaa hai hamase to ko_ii puuchhe vo mast nazar kyaa hai -2 jiine kaa sahaaraa hai marane kaa bahaanaa hai kuchh ham bhii diivaane ... bhuule se kabhii hamane qaatil na kahaa unako dil jinakii adaa_o.n kaa Kaamosh nishaanaa hai apanaa to zamaane ... ye raaz hai ulfat kaa duniyaa ise kyaa jaane nazaro.n kaa churaanaa hii nazaro.n kaa milaanaa hai apanaa to zamaane ... ma.nzil kahaa.N hai ai dil ham ishq ke maaro.n kii ham jaa ke jahaa.N baiThe vahii.n apanaa Thikaanaa hai apanaa to zamaane ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.