giitaayan An Interface to ISB

dukh jo di_e hai.n duniyaa ne mai.n jaanuu.N yaa tuu jaane - Naach Ghar (1959)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
dukh jo di_e hai.n duniyaa ne mai.n jaanuu.N yaa tuu jaane ham jaise nirdhan duniyaa me.n aa_e kyo.n usase hii puuchhe ko_ii usane banaa_e kyo.n Gam apane sukh begaane mai.n jaanuu.N yaa tuu jaane rastaa hii aa.Ngan rastaa hii ghar hai kahaa.N-kahaa.N bhaTake kisako Kabar hai fariyaade.n hai.n yaa gaane mai.n jaanuu.N yaa tuu jaane auro.n ke dumahale aur ra.ng-raliyaa.N hamako milii hai.n a.ndhiyaarii galiyaa.N barabaadii ke afasaane mai.n jaanuu.N yaa tuu jaane dukh jo di_e hai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.