giitaayan An Interface to ISB

jab se chale gaye hai.n wo zi.ndagii zi.ndagii nahii.n - Natak (1947)  

Lyrics: Khumar Barabankwi | Music: Naushad | Singer(s): Suraiya 
View in Nagari (Hindi)
jab se chale gaye hai.n wo zi.ndagii zi.ndagii nahii.n saaz hai aur sadaa nahii.n shammaa hai roshanii nahii.n chho.D ke mujhako chal diye ye bhii nahii.n kiyaa Kayaal unake siwaa jahaan me.n aur meraa ko_ii nahii.n jab se chale gaye hai.n wo zi.ndagii zi.ndagii nahii.n saare jahaa.N kii raunake.n jaise kisii ne luuT lii.n phuul hai taazagii nahii.n chaa.Nd hai chaa.Ndanii nahii.n jab se chale gaye hai.n wo zi.ndagii zi.ndagii nahii.n jiine ko jii rahii huu.N mai.n unake bagair bhii agar zi.ndagii kah sakuu.N jise aisii to zi.ndagii nahii.n jab se chale gaye hai.n wo zi.ndagii zi.ndagii nahii.n saaz hai aur sadaa nahii.n shammaa hai roshanii nahii.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.