khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o aaj mil ke
%(the bloomed moonlightis telling us to sing today in unison)
is dil ke tumhii ho jaanam
%(you are of this heart, o life)
khilii puurNimaa chalii ye havaa shabanam yahaa.N barase
%(the bloomed fullmoon night, this air is breezing, dew is showering here)
is dil ke tumhii ho jaanam
gaaye meraa man yuu.N hii raat-din phir bhii pyaar tarase
%(my mind is singing, just like this, day and night, even than my love is starving)
aa vo hii bhuumi hai vo hii aasamaa.N apanaa dukh bhalaa kisako sunaaye.N
%(this is the same land, this is the same sky, whom do we tell our sorrows)
khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o aaj mil ke
is dil ke tumhii ho jaanam
kabhii sukh yahaa.N kabhii dukh yahaa.N yahii to hai jiivan
%(sometimes pleasures are here, sometimes pains are here, this is life)
dekho Daal par koyal bole kaise kaTe yauvan
%(see, the cuckoo is speaking on the branches, how the adulthood will be spent)
ye zi.ndagii ek bojh hai tum pyaar se sa.Nvaar do
%(this life is a burden, let's adorn it with love)
ye chaar-din kii chaa.Ndanii tum pyaar se guzaar do
%(this moonlight of four day, you spend with love)
khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o aaj mil ke
is dil ke tumhii ho jaanam
khilii puurNimaa chalii ye havaa shabanam yahaa.N barase
is dil ke tumhii ho jaanam
gaaye meraa man yuu.N hii raat-din phir bhii pyaar tarase
aa vo hii bhuumi hai vo hii aasamaa.N apanaa dukh bhalaa kisako sunaaye.N
khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o aaj mil ke
is dil ke tumhii ho jaanam
##Second version##
aa aa aa aa aa aa aa aa aa
khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o sakhii mil ke
%(the bloomed moonlight is letting us let's sing in unison, o friend)
laharaa ke madhur tum gaa_o
%(swing and sing sweetly)
khilii puurNimaa chalii ye havaa naacho sakhii mil ke
%(the bloomed moonlight, this air is breezing, let's dance matching steps, o friend)
ras barase madhur tum naacho
%(the juices are showering, you dance sweetly)
gaaye meraa man yuu.N hii raat-din phir bhii pyaar tarase
aa vo hii bhuumi hai vo hii aasamaa.N apanaa dukh bhalaa kisako sunaaye.N
khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o sakhii mil ke
laharaa ke madhur tum gaa_o
kabhii sukh yahaa.N kabhii dukh yahaa.N yahii to hai jiivan
%(sometimes pleasures are here, sometimes pains are here, this is life)
dekho Daal par koyal bole kaise kaTe bachapan
%(see, the cuckoo is speaking on the branches, how the childhood will be spent)
ye bhoomi hi swarg hai tum pyaar se sa.Nvaar lo
%(this land is the paradise, you adorn with love)
ye chaar-din kii chaa.Ndanii tum pyaar se guzaar do
%(this moonlight of four days, let's spend with love)
khilii chaa.Ndanii hame.n kah rahii gaa_o sakhii mil ke
laharaa ke madhur tum gaa_o
khilii puurNimaa chalii ye havaa naacho sakhii mil ke
ras barase madhur tum naacho
|