giitaayan An Interface to ISB

kahaa.N hai.n ham ye aaj ... ijaazat ho to ham aa_e.N - Paighaam (1959)  

Lyrics: Pradeep | Music: C Ramchandra | Singer(s): Rafi, Asha 
View in Nagari (Hindi)
aa : kahaa.N hai.n ham ye aaj mat puuchho ek jhuuThaa dilaasaa hai hame.n mat is tarah Taalo hamaaraa pyaar pyaasaa hai javaanii ke akelepan kii gha.Diyaa.N hamako naa bhaa_e.N ra : ijaazat ho to ham aa_e.N aa : hamaarii bhii ye hasarat hai kisii kaa pyaar ham paa_e.N kisii ke paas hai.n ham to magar hai ab talaq ye duurii ra : huqm de do to ham kar de.n tumhaarii ye kamii puurii aa : agar tumasaa mile ko_ii to ham jannat ko Thukaraa_e.N ra : ijaazat ho to ham aa_e.N ... aa : ye dha.Dakan kyuu.N ye ta.Dapan kyuu.N dard miiThaa saa kyaa hai ye ra : jo ab maano to ham kah de.n javaanii kii sazaa hai ye aa : binaa kaaraN ye zurmaanaa ajii ham kyuu.N na ghabaraa_e.N ra : ijaazat ho to ham aa_e.N ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.