pa.nchhii nadiyaa pavan ke jho.nke
ko_ii sarahad naa inhe.n roke
sarahade.n insaano.n ke li_e hai.n
socho tumane aur maine kyaa paayaa insaa.n ho ke
pa.nchhii nadiyaa ...
jo ham dono.n pa.nchhii hote
tairate ham is niil gagan me.n
pa.nkh pasaare
saarii dharatii apanii hotii
apane hote saare nazaare
khulii fizaa_o.n me.n u.Date
apane dil me.n ham saaraa pyaar samo ke
pa.nchhii nadiyaa ...
jo mai.n hotii nadiyaa aur tum pavan ke jho.nke to kyaa hotaa
pavan ke jho.nke nadii ke tan ko jab chhuute hai.n
lahare.n hii lahare.n banatii hai.n
ham dono.n jo milate to kuchh aisaa hotaa
sab kahate ye lahar lahar jahaa.n bhii jaa_e
isako naa ko_ii Toke
pa.nchhii nadiyaa ...
|