giitaayan An Interface to ISB

tere baare me.n jab sochaa nahii.n thaa - Saher (Non-Film) (2000)  

Lyrics: Meraj | Music: Jagjit Singh | Singer(s): Jagjit Singh 
View in Nagari (Hindi)
tere baare me.n jab sochaa nahii.n thaa mai.n tanhaa thaa magar itanaa nahii.n thaa tere baare me.n jab ... terii tasviir se karataa thaa baate.n mere kamare me.n aa_iinaa nahii.n thaa mai.n tanhaa thaa ... sama.ndar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa mai.n jab saharaa me.n thaa pyaasaa nahii.n thaa mai.n tanhaa thaa ... manaane ruuThane ke khel me.n ham bichha.D jaa_e.nge ye sochaa nahii.n thaa mai.n tanhaa thaa ... sunaa hai ba.nd kar lii.n usane aa.Nkhe.n ka_ii raato.n se vo soyaa nahii.n thaa mai.n tanhaa thaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.