giitaayan An Interface to ISB

nuktaachii.n hai Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane - Yahoodi Ki Ladki (1933)  

Lyrics: Mirza Ghalib | Music: Pankaj Mullick | Singer(s): Saigal 
View in Nagari (Hindi)
aa aa nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye na bane kyaa bane baat jahaa.N baat banaaye na bane -2 mai.n bulaataa to huu.N usako magar ai jazbaa-e-dil -2 us pe ban jaaye kuchh aisii us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane -2 nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye bojh wo sar pe giraa bojh woh sar se giraa hai, ki uThaaye na uThe kaam wo aan pa.Daa hai ke banaaye na bane -2 nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye ishq par zor nahii.n ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish Gaalib ke lagaaye na lage ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane -2 nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.