giitaayan An Interface to ISB

abhii to sajii hai muraado.n kii duniyaa - Zindagi (1956)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: Mohammed Shafi | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
abhii to sajii hai muraado.n kii duniyaa -2 abhii se ye duniyaa miTaaye.nge kaise kahaanii adhuurii hai aur raat baakii chiraaG-e-tamannaa bujhaaye.nge kaise ( uma.nge.n jawaa.N hai.n muhabbat jawaa.N hai abhii jaan dene kii furasat kahaa.N hai ) -2 bahaaro.n ke din hai.n bahaaro.n kii raate.n Kizaa.N ko gale se lagaaye.nge kaise abhii to sajii hai ( ha.Nsaa kar rulaanaa banaa kar miTaanaa kahii.n tujh ko zaalim na samajhe zamaanaa ) -2 jo insaaf teraa nahii.n hai to maalik tere saamane sar jhukaaye.nge kaise abhii to sajii hai muraado.n kii duniyaa abhii se ye duniyaa miTaaye.nge kaise abhii to sajii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.