giitaayan An Interface to ISB

hiraNyagarbhas ... aise kis devataa kii upaasanaa kare.n ham havi dekar - Bhaarat Ek Khoj (Non-Film) (1980s)  

Lyrics: Pt Vasant Deo | Music: Vanraj Bhatia | Singer(s): Chorus 
View in Nagari (Hindi)
It is the first one in a series of oblatory chants. % The original Sanskrit incantation has : hiraNyagarbas-samavartat-aagre bhuutasya jaataH patir-eka aasiit sa daadhaara-pR^ithivii-dyaam-utemaa.m kasmai devaaya haviShaa vidhema % (which Lord ought we to sacrificially propitiate?) sR^iShTi se pahale sat nahii.n thaa, asat bhii nahii.n antariksh bhii nahii.n, aakaash bhii nahii.n thaa chhipaa thaa kyaa, kahaa.N, kisane dekhaa thaa us pal to agam, atal jal bhii kahaa.N thaa sR^iShTi kaa kaun hai kartaa kartaa hai vaa akartaa uu.Nche aakaash me.n rahataa sadaaa adhyaksh banaa rahataa wahii to sach-much me.n jaanataa, yaa nahii.n bhii jaanataa hai kisii ko nahii.n pataa nahii.n pataa vah thaa hiraNyagarbh sR^iShTi se pahale vidyamaan vahii to saare bhuut-jaat kaa swaamii mahaan jo hai astitvamaan dharatii-aasamaan dhaaraN kar aise kis devataa kii upaasanaa kare.n ham havi dekar havi dena: making offerings into a [sacrificial] fire. jis ke bal par tejomay hai ambar pR^ithvii harii-bharii sthaapit sthir swarg aur suuraj bhii sthir aise kis devataa kii upaasanaa kare.n ham havi dekar garbh me.n apane agni dhaaraN kar paidaa kar vyaapaa thaa jal idhar-udhar niiche-uupar jagaa chuke wo ka_ii ekamev praaN banakar aise kis devataa kii upaasanaa kare.n ham havi dekar OM! sR^iShTi-nirmaataa swarg-rachayitaa puurvaj, rakshaa kar satyadharma-paalak atul jal niyaamak, rakshaa kar phailii hai.n dishaaye.n baahu jaisii usakii, sab me.n, sab par aise hii devataa kii upaasanaa kare.n ham havi dekar aise hii devataa kii upaasanaa kare.n ham havi dekar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.