( morayaa re, bappaa morayaa re
morayaa bappaa morayaa re ) -2
morayaa re, bappaa morayaa re
gaNapati bappaa morayaa -2
jisane teraa naam liyaa
usake ma kaa usake tan kaa dukh tuune sab duur kiyaa
gaNapati bappaa morayaa, ma.ngal muurti morayaa
sha.nkar suman bhawaanii na.ndan, he gajawadan mahaan
riddhi siddhi ke tum ho swaami, tum sabake bhagawaan
ma.ngaladaataa buddhi vidhaataa, aisaa do waradaan
karuu.N wa.ndanaa terii jab tak tan me.n rahe.n ye praaN -2
ham hai.n bhawasaagar kii lahare.n tum ho nirmal phuul
hamako naath kshamaa kar denaa ho jaaye jo bhuul
tujhako arpaN karate hai.n ham shraddhaa ke ye phuul
ham tar jaaye.n mil jaaye jo charaNo.n ke ye dhuul -2
niraadhaar ke is dharatii pe tum hii ho aadhaar
kabhii ba.nd na hu_aa tumhaarii dayaa daan kaa dwaar
tumase hii to bhare huye hai.n GYaan ke ye bha.nDaar
ham kyaa saare dev tumhaarii karate jay jayakaar
|