gaNapati bappaa morayaa, puDchyaa varShii laukarayaa
morayaa re, bappaa morayaa re -4
gaNapati apane gaa.Nv chale, kaise hamako chain pa.De
jisane jo maa.Ngaa usane wo paayaa,
raste pe hai.n sab log kha.De
gaNapati bappaa dukh harataa, dukh harataa bhaa_ii dukh harataa
das din ghar me.n aan rahe, bhakto.n ke mehamaan rahe
saare shahar me.n dhuum machii, josh se janataa jhuum uThii
unako pyaare sab i.nsaan raajaa ra.nk hai.n ek samaan
dukh harataa bhaa_ii dukh harataa
kisii ko kuchh waradaan diyaa, kisii ko ko_ii GYaan diyaa
hai.n chale sabhii ko Kush karake, khaalii khaalii jholiyo.n ko bharake
aaye.nge saal ke baad idhar, log kare.nge yaad magar
tho.De hii din rahe, tho.De dino.n me.n karake chale ye kaam ba.De
saare ghar unako ghar hai.n, unako ek baraabar hai.n
uu.Nche mahal amiiro.n ke ho.n yaa ham gariiban ke jhopa.De
mast pawan ye phir le aa_ii, maujo.n kii naiyaa laa_ii
gaNapati us paar chale, lekar sabakaa pyaar chale
saphal hu_ii sabakii puujaa, aisaa na ko_ii bin duujaa
ghaTaa gagan par laharaa_ii, gha.Dii visarjan kii aa_ii
bhuul chuuk ho maaf hamaarii, ham sab hai.n ba.De naadaan ba.De
|