giitaayan An Interface to ISB

ye chaa.Nd saa roshan cheharaa (taariif karuu.N kyaa usakii) - Kashmir Ki Kali (1964)  

Lyrics: S H Bihari | Music: O P Nayyar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ye chaa.nd saa roshan cheharaa, zulfo.n kaa ra.ng sunaharaa ye jhiil sii niilii aa.Nkhe.n, koI raaz hai iname.n gaharaa taariif karuu.N kyaa usakii, jisane tumhe.n banaayaa taariif karuu.N kyaa usakii, jisane tumhe.n banaayaa ... ek chiiz qayaamat sii hai, logo.n se sunaa karate the tumhe dekhake maine maanaa, vo Thiik kahaa karate the vo Thiik kahaa karate the hai chaal me.n terii zaalim, kuchh aisii balaa kaa jaaduu sau baar sambhaalaa dil ko, par hoke rahaa bekaabuu taariif karuu.N kyaa usakii, jisane tumhe.n banaayaa ... har subah kiran kii laalii, hai ra.ng tere gaalo.n kaa har shaam kii chaadar kaalii, saayaa hai tere baalo.n kaa saayaa hai tere baalo.n kaa tuu balakhaatii ek nadiyaa, har mauj terii a.nga.DaaI jo in maujo.n me.n Duubaa, usane hii duniyaa paaI taariif karuu.N kyaa usakii, jisane tumhe.n banaayaa ... mai.n khoj me.n huu.N ma.nzil ke, aur ma.nzil paas hai mere mukha.De se haTaa do aa.nchal, ho jaae.n duur a.ndhere ho jaae.n duur a.ndhere maanaa ke ye jalave tere, kar de.nge mujhe diivaanaa jii bhar ke zaraa mai.n dekhuu.N, a.ndaaz teraa mastaanaa taariif karuu.N kyaa usakii, jisane tumhe.n banaayaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.