giitaayan An Interface to ISB

haa.N mai.nne chhuukar dekhaa hai - Black (2005)  

Lyrics: Prasoon Joshi | Music: Monty | Singer(s): Gayatri Iyer 
View in Nagari (Hindi)
mausam kii adalaa-badalii me.n pavan gulaabii ho jaatii hai (haa.N mai.nne chhuukar dekhaa hai)-2 raat sarakakar chalate-chalate bilkul aadhii ho jaatii hai (haa.N mai.nne chhuukar dekhaa hai)-2 mausam kii adalaa-badalii me.n garam gunagunii dhuup se baat kii hai mai.nne paanii ke bahane me.n ha.Nsii sunii hai mai.nne sab kahate hai.n diip bujhaa hai lekin baatii so jaatii hai (haa.N mai.nne chhuukar dekhaa hai)-2 mausam kii adalaa-badalii me.n bin dastak ke aaye jo vo pyaar sunaa hai bin bole man khole vo adhikaar sunaa hai lamho.n kii u.Ngalii thaam ke yaade.n aa.Ngan me.n aa jaatii hai.n (haa.N mai.nne chhuukar dekhaa hai)-2 Tha.nDhaa Tha.nDhaa ra.ng buu.Ndo.n kaa mulaayam ra.ng hai phuulo.n kaa chubhanevaale ra.ng pahanakar dulhan saj-dhaj ke jaatii hai haa.N mai.nne chhuukar haa.N mai.nne dekhaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.