{jag suunaa suunaa Thaharaa Thaharaa saa
meraa sapanaa apanaa gaharaa gaharaa saa}2
saare shahar kii jaga-maga ke bhiitar hai a.ndheraa
har muskaan ke piichhe chhipaa hu_aa Gam kaa cheharaa
yahii hai sach to hara-pal ko jii luu.N mai.n jii bhar ke
aur ha.Ns-ha.Ns ke ye kah duu.N duHkho.n ke patthar se
alawidaa (4)
koii waqt ke aage haaraa haaraa saa
koii pyaar me phirataa maaraa maaraa saa
dil ke rishto.n me kyuu.N dard hameshaa milataa hai?
aur kyuu.N kaa.NTo.n par hii phuul sukho.n kaa khilataa hai?
yahii hai sach to mai.n is sach ko hii apanaa_uu.Ngaa
mar bhii jaa_uu.Ngaa to mai.n pyaar amar kar jaa_uu.Ngaa
alawidaa (8)
zi.ndagii naa mil ajanabii banake (2)
ba.ndagii shaamil har du_aa banake (2)
zi.ndagii naa mil ajanabii banake
ba.ndagii shaamil har du_aa banake
|