giitaayan An Interface to ISB

yaaraa maulaa ... haa.N haa.N yaado.n me.n hai ab bhii - Gulaal (2009)  

Lyrics: Piyush Mishra | Music: Piyush Mishra | Singer(s): Rahul Ram, Aushim, Piyush Mishra 
View in Nagari (Hindi)
yaaraa~ maulaa~ haa.N haa.N yaado.n me.n hai ab bhii kyaa suriilaa wo jahaa.N thaa hamaare haatho.n me.n ra.ngiin Gubbaare the aur dil me.n mahakataa samaa.N thaa yaaraa~ maulaa~ wo to Khwaabo.n kii thii duniyaa wo kitaabo.n kii thii duniyaa saa.Ns me.n the machalate hue zalazale aa.Nkh me.n wo suhaanaa nashaa thaa yaaraa~ maulaa~ wo zamii.n thii aasamaa.N thaa hamako lekin kyaa pataa thaa ham kha.De the jahaa.N par usii ke kinaare pe gaharaa saa a.ndhaa ku.Naa thaa yaaraa~ maulaa~ phir wo aae bhii.D banakar haath me.n the unake kha.njar bole phe.nko ye kitaabe.n aur sa.Nbhaalo ye salaakhe.n ye jo gaharaa saa ku.Naa hai haa.N haa.N a.ndhaa to nahii.n hai is ku.Ne me.n hai Khazaanaa kal kii duniyaa to yahii.n hai kuud jaao leke kha.njar kaaT Daalo jo ho a.ndar tum hii kal ke ho shivaajii tum hii kal ke ho sika.ndar hamane wo hii kiyaa jo unho.nne kahaa kyuu.Nki unakii to Khwaahish yahii thii ham nahii.n jaanate ye bhii kyuu.N ye kiyaa kyuu.Nki unakii faramaaish yahii thii ab hamaare lagaa zaayakaa Khuun kaa ab bataao kare.n to kare.n kyaa nahii.n hai koii jo hame.n kuchh bataae bataao kare.n to kare.n kyaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.