giitaayan An Interface to ISB

bedardii baalamaa tujhako meraa man yaad karataa hai - Arzoo (1965)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
bedardii baalamaa tujhako meraa man yaad karataa hai barasataa hai jo aa.Nkho.n se vo saavan yaad karataa hai kabhii ham saath guzare jin sajiilii rahaguzaaro.n se fizaa ke bhes me.n girate hai.n ab patte chanaaro.n se ye raahe.n yaad karatii hai.n ye gulashan yaad karataa hai koii jho.nkaa havaa kaa jab meraa aa.Nchal u.Daataa hai gumaa.N hotaa hai jaise tuu meraa daaman hilaataa hai kabhii chuumaa thaa jo tuune vo daaman yaad karataa hai vo hii hai.n jhiil ke ma.ndar vo hii kirano.n ki barasaate.n jahaa.N ham tum kiyaa karate the paharo.n pyaar kii baate.n tujhe is jhiil kaa Kaamosh darapan yaad karataa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.