giitaayan An Interface to ISB

maarii kaTaarii mar jaanaa - Shehnai (1947)  

Lyrics: P L Santoshi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Amirbai 
View in Nagari (Hindi)
hame.n kyaa pataa thaa ki dil kii kalii ko masal de.nge vo hame.n kyaa pataa thaa ki raahat ko Gam me.n badal de.nge vo muhabbat ke vaade aur jhuuThii khaa qasame.n kisii aur ke hoke chal de.nge vo maar kaTaarii mar jaanaa (maar kaTaarii mar jaanaa re a.Nkhiyaa.N kisii se milaanaa naa ho milaanaa naa) -2 khaa ke zahar mar jaanaa re man me.n kisii ko basaanaa naa ho basaanaa naa haay duniyaa kii koii bhii chiiz ab bhaatii nahii.n chain ab aataa nahii.n hai nii.nd ab aatii nahii.n jinako aanaa thaa na aaye jaane vaale jaa chuke haay ~ dil ko jaanaa thaa gayaa par jaan kyo.n jaatii nahii.n piichhe pa.De hai pachhataanaa (piichhe pa.De hai pachhataanaa tuu apanaa kisii ko banaanaa naa ho banaanaa naa) -2 maar kaTaarii mar jaanaa ... kyo.n in aa.Nkho.n ne unakaa ab tak i.ntazaar kiyaa kyo.n is bhole dil ne un par baar-baar aitabaar kiyaa jo yahii mohabat kaa badalaa mujhako milane waalaa thaa haay ~ kyo.n duniyaa ke taane sahake mai.nne unase pyaar kiyaa sunake ha.Nsegaa zamaanaa (sunake ha.Nsegaa zamaanaa dukh apanaa kisii ko sunaanaa naa ho sunaanaa naa) -2 maar kaTaarii mar jaanaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.