giitaayan An Interface to ISB

mai.n ne ek Kvaab saa dekhaa hai - Waqt (1965)  

Lyrics: Sahir | Music: Ravi | Singer(s): Asha, Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
mai.n ne ek Kvaab saa dekhaa hai kaho sun ke sharamaa to nahii.n jaaogii? nahii.n, tum se nahii.n mai.n ne dekhaa hai ki phuulo.n se ladii shaakho.n me.n tum lachakatii huii yuu.N merii qariib aa_ii ho jaise muddat se yuu.N hii saath rahaa ho apanaa jaise ab kii nahii.n sadiyo.n kii shanaasaaii ho mai.n ne bhii Kvaab saa dekhaa hai kaho, tum bhii kaho khud se itaraa to nahii.n jaaoge? nahii.n khud se nahii.n mai.n ne dekhaa ki gaate hue jharano.n ke qariib apanii betaabii-e-jazabaat kahii hai tum ne kaa.Npate ho.nTho.n se rukatii huii aavaaz ke saath jo mere dil me.n thii vo baat kahii hai tum ne aa.Nch dene lagaa qadamo.n ke tale barf kaa farsh aaj jaanaa ki muhabbat me.n hai garmii kitanii sa.ngamaramar kii tarah saKt badan me.n tere aa gayii hai mere chhuu lene se narmii kitanii ham chale jaate ho.n aur duur talak koii nahii.n sirf patto.n ke chaTakane kii sadaa aatii hai dil me.n kuchh aise Kayaalaat ne karavaT lii hai mujh ko tum se nahii.n apane se hayaa aatii hai mai.n dekhaa hai ki kohare se bharii vaadii me.n mai.n ye kahataa huu.N chalo aaj kahii.n kho jaaye.n mai.n ye kahatii huu.N ki khone kii zaruurat kyaa hai o.Dh kar dhu.ndh kii chaadar ko yahii.n so jaaye.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.