giitaayan An Interface to ISB

sapano.n me.n aanaa chhe.D chhe.D jaanaa - Sheesham (1952)  

Lyrics: Indeevar | Music: Roshan | Singer(s): Lata, Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
sapano.n me.n aanaa chhe.D chhe.D jaanaa siikhaa kahaa.N se mere balam ne hai ik navelii naar alabelii ha.Ns ke luTaayaa dil jis pe ham ne Dol gayii duniyaa merii terii nazar jo jhukii -2 aaj huii tujh ko khabar mai.n to (kab se terii ho chukii) -2 rah kar nazar me.n aa.Nkho.n ke ghar me.n ye bhii na jaanaa bhole priitam ne sapano.n me.n aanaa ... jiit liyaa ham ne jahaa.N tuu jo hamaaraa huaa -2 dekh liyaa jab se tujhe jiinaa gavaaraa huaa -2 jo kuchh thaa meraa aaj huaa teraa kismat badal lii aapas me.n ham ne sapano.n me.n aanaa ... matavaalii terii adaa man ko mere bhaa gayii -2 nazaro.n se nazare.n milii nii.nd aa.Nkho.n me.n aa gayii -2 cha.nchal mastaanii chau.nkii javaanii kuchh is tarah se dekhaa sanam ne jo kuchh thaa meraa aaj huaa teraa kismat badal lii aapas me.n ham ne
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.