giitaayan An Interface to ISB

nainan me.n barasaat man me.n kaajal kaalii raat - Nand Kishore (1951)  

Lyrics: Narendra Sharma | Music: Snehal Bhatkar | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
nainan me.n barasaat man me.n kaajal kaalii raat -2 a.ndhakaar hii a.ndhakaar hai diwas rain ban jaat -2 nainan me.n barsaat man me.n kaajal kaalii raat ho~~ooo~~oo~oo~o~oo~~o~~o priit karuu.n yaa riit nibhaa_uu.n -2 man kii sunu ya tan kii maaTii kii maalaa dekhuu.n yaa shobhaa man madhuban ki shobhaa man madhuban kii ( praaNo.n kaa ha.nsa vyaakul hai birahaa sahaa nahii.n jaat ) -2 nainan me.n barsaat man me.n kaajal kaalii raat ho~~ooo~~oo~oo~o~o ek aur dekhe.nge naate alakh duusarii aur a.nkhiyaa.n chandra chakor banii hai chandaa nand kishore -2 ( a.nsuan me.n zarate a.ngaare dukh nahii.n nain samaat ) -2 nainan me.n barsaat man me.n kaajal kaalii raat
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.