giitaayan An Interface to ISB

cheharaa chhupaa liyaa hai kisii ne hijaab me.n - Nikaah (1982)  

Lyrics: Hasan Kamaal | Music: Ravi | Singer(s): Mahendra Kapoor, Salma Agha, chorus 
View in Nagari (Hindi)
ma: cheharaa chhupaa liyaa hai kisii ne hijaab me.n jii chaahataa hai aag lagaa duu.N naqaab me.n sa: bijalii thii ik jo ham ne chhupaa lii naqaab me.n lag jaatI varanaa aag tumhaare shabaab me.n ma: ham husn ke paravaane jalane se nahii.n Darate anjaam-e-mohabbat kii paravaah nahii.n karate ik baar hii dete hai.n dil apanaa hasiino.n ko ik baar hii marate hai.n sau baar nahii.n marate sa: paravaane se pahale jalii aur paravaane ke saath jalii vo to jalaa bas pal do pal shamaa to saarii raat jalii ek paravaanaa jalaa ik kadar shor machaa shamaa chupachaap jalii lab pe shikavaa na Gilaa kyaa hai jalane kaa mazaa husn se puuchho zaraa kyo.nki paravaane ko jal jaanaa ham ne hii sikhaayaa hai vo tab hi jalaa ham ne jab Kud ko jalaayaa hai aashiq kii jaan ishq me.n jaane se peshtar Kud husn DUbataa hai vafaa ke chanaab me.n ko: chehara chhupaa liyaa ... sa: gar husn nahii.n hotaa ye ishq kahaa.N hotaa phir kis se vafaa karate phir kis kaa vafaa hotaa ma: takaraar se kyaa haasil kuchh bhii na huaa hotaa gar tum na hasii.n hote gar mai.n na javaa.n hotaa jis roz se is husn kaa diidaar kiyaa hai bas pyaar kiyaa pyaar kiyaa pyaar kiyaa hai sa: ye jhuuTh hai ki tum ne hame.n pyaar kiyaa hai ham ne tumhe.n zulfo.n me.n giraftaar kiyaa hai ma: tum husn ho ham ishq hai sa: gar tum nahii.n to ham nahii.n ma: hai baat sachchii bas yahii koii kisii se kam nahii.n sa: hai baat sachchii bas yahii koii kisii se kam nahii.n ma: ek naGamaa hai ek raag hai sa: dono.n taraf ek aag hai ma: tum se hame.n shikavaa bhii hai phir bhii aap se pyaar hai sa: tum bin hame.n kab chain ham ko bhii ye iqaraar hai ma: dekhe to hosh gum ho na dekhe to hosh gum ye pha.Ns gaii hai jaan merii kis adaab me.n ko: cheharaa chhupaa liyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.