giitaayan An Interface to ISB

chi.ngaarii koii bha.Dake, to saavan use bujhaaye - Amar Prem (1971)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
aana.nd baabuu : ro mat pushpaa, aaj tum jo ho jis jagah ho, tumhaare aa.Nkh ke paanii ## saline water, I mean ## namakiin paanii ke alaavaa kuchh nahii.n hai. isaliye inhe.n po.nchh Daalo pushpaa, ## I hate tears.## pushpaa : haa.N aana.nd baabuu aap Thiik kahate hai.n. baiThiye. aana.nd baabuu : chho.Do pushpaa, chalo aaj kahii.n baahar chalate hai.n. Dhuu.NDhe.n koii aisii jagah jahaa.N tho.Dii der ke liye hii sahii kuchh yaad na aaye, na tumhe.n na mujhe. chi.ngaarii koii bha.Dake, to saavan use bujhaaye saavan jo agan lagaaye, use kaun bujhaaye, o... use kaun bujhaaye patajha.D jo baag ujaa.De, vo baag bahaar khilaaye jo baag bahaar me.n uja.De, use kaun khilaaye o... use kaun khilaaye hamase mat puuchho kaise, ma.ndir TuuTaa sapano.n kaa - (2) logo.n kii baat nahii.n hai, ye kissaa hai apano.n kaa koii dushman Thes lagaaye, to miit jiyaa bahalaaye man miit jo ghaav lagaaye, use kaun miTaaye na jaane kyaa ho jaataa, jaane ham kyaa kar jaate - (2) piite hai.n to zindaa hai.n, na piite to mar jaate duniyaa jo pyaasaa rakhe, to madiraa pyaas bujhaaye madiraa jo pyaas lagaaye, use kaun bujhaaye o... use kaun bujhaaye maanaa tuufaa.N ke aage, nahii.n chalataa zor kisiikaa - (2) maujo.n kaa doshh nahii.n hai, ye doshh hai aur kisii kaa majadhaar me.n naiyaa Dole, to maajhii paar lagaaye maajhii jo naav Duboye, use kaun bachaaye o... use kaun bachaaye chi.ngaarii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.