giitaayan An Interface to ISB

chup zamiin aasamaan, kah sake na ye zubaan - Do Dost (1959)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: S Mohinder | Singer(s): Manna Dey, chorus 
View in Nagari (Hindi)
chup zamiin aasamaan, kah sake na ye zubaan dil hilaanevaalii do dosto.n kii daastaan ruup dono.n kaa samaan, do sharIr ek jaan ye dukhii to vo dukhii, vo dukhii to ye dukhii ek ra.ng pyaar thaa, sa.ng kaarovaar thaa do dilo.n ko ek dUsare pe aitabaar thaa rahate vo kariib the, par ba.De garIb the videsh me.n ho laakho.n, unake aise kuchh nasiib the dil ko dil se jo.D ke, ghar se mukha.Daa mo.D ke dhan kamaane ke liye chale vatan ko chho.D ke chup zamiin aasamaan ... log chhal kapaT nihaaye (?), sukh me.n dukha.De bhar diye chaa.ndii ke chaa.Nd Tuka.Do.n ne, dilo.n ke Tuka.De kar diye sach ko jhuuTh ne Thagaa, ?? kaa agan jagaa pITh piichhe var kar dost ne diyaa dagaa dost ne diyaa dagaa, dost ne diyaa dagaa diyaa dagaa, diyaa dagaa chup zamiin aasamaan ... pashchAtaap kii aag lagI to, vahii dharam phir jaagaa anyaaI insaan ke dil kaa, paap nikal ke bhaagA jhuuTh kA bharam khulaa, satya kaa diyaa jalaa josh jaan kii jagii, buraa bhI ban gayaa bhalaa dono dost mil gaye, dil ke phuul khil gaye pyaar ke jo taar ba.nd the, vo phir se hil gaye kaT gayii vo dushmanii, dostii ke vaar se pichhale paap miT gaye aa.Nsuo.n ke dhaar se chup zamiin aasamaan, kah sake nA ye zubaan dil hilaanevaalii do dosto.n kI daastaan
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.