giitaayan An Interface to ISB

haath aayaa hai jab se teraa haath me.n - Dil Aur Mohabbat (1968)  

Lyrics: Shevan Rizvi | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha, Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
aashaa: haath aayaa hai jabase teraa haath me.n aa gayaa hai nayaa ra.ng jazabaat me.n mai.n kahaa.N huu.N mujhe ye khabar hii nahii.n tere kadamo.n pe hii gir na jaauu.N kahii.n haath aayaa hai ... dil me.n nazaro.n se chhup-chhupake aayaa hai tuu dil churaakar meraa muskuraayaa hai tuu tuu kahe to ... tuu kahe to ek baat tujhase kahuun meraa saathii nahi.n balakii saayaa hai tuu - 2 u.ngaliyaa.N jab zamaane kii mujhapar uThe.n kho na jaanaa kahii.n aise haalaat me.n roshanii zi.ndagii me.n mohabbat se hai varanaa rakhaa hai kyaa chaa.Ndanii raat me.n haath aayaa hai ... mahe.ndra: dil ke jazabaat ko mai.n na Thukaraauu.Ngaa balakii tasaviir-e-jazabaat ban jaauu.Ngaa haq mohabbat kaa ... haq mohabbat kaa hotaa hai kaise adaa vaqt aayaa to mai.n ye bhii dikhalaauu.Ngaa - 2 aashaa: pyaar ke devataa ke kadam chuumakar zi.ndagii nazar kar duu.Ngii sauGaat me.n ab na ghabaraao ma.nzil kii duurii se tum tum akele nahii.n mai.n bhii huu.N saath me.n haath aayaa hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.