giitaayan An Interface to ISB

jhuumatii chalii havaa, yaad aa gayaa koii - Sangeet Samrat Tansen (1962)  

Lyrics: Shailendra | Music: S N Tripathi | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
jhUmatii chalii havaa, yaad aa gayaa koI bujhatii bujhatii aag ko, phir jalaa gayaa koI jhUmatii chalii havaa ... kho ga_ii hai.n ma.nzile.n, miT gaye hai.n raaste gardishe.n hii gardishe.n, ab hai.n mere vaaste ab hai.n mere vaaste aur aise me.n mujhe, phir bulaa gayaa koI jhUmatii chalii havaa ... chup hai.n chaa.Nd chaa.Ndanii, chup ye aasamaan hai miiThii miiThii nii.nd me.n, so rahaa jahaan hai so rahaa jahaan hai aaj aadhii raat ko, kyo.n jagaa gayaa koI jhUmatii chalii havaa ... ek huuk sii uThii, mai.n sihar ke rah gayaa dil ko apanaa thaam ke aah bhar ke rah gayaa chaa.Ndanii kii oT se muskuraa gayaa koii jhuumatii chalii havaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.