duniyaa me.n har kisii kii qismat judaa-judaa hai
ek motiyo.n se khele ek Kaak me.n milaa hai
ek wo hai jo maze se phuulo.n pe so rahaa hai
aur duusaraa bichaaraa kaaTo.n pe ro rahaa hai
ajii tum hii kaho ye kaisaa insaaf ho rahaa hai
duniyaa me.n har kisii kii ...
paisaa hai paas jis ke duniyaa hai us ke bas me.n
duniyaa usii ko maane jo khaaye.n jhuuTii qasme.n
ajii tum hii kaho samajh kar achchhii hai.n kyaa ye rasme.n
duniyaa me.n har kisii kii ...
sab ek jagah pe baiThe har koii ek saaraa
uu.Nchaa na koii niichaa chhoTaa ho naa ba.Daa ho
ban jaaye saarii duniyaa ek ghar to kyaa mazaa hai
duniyaa me.n har kisii kii ...
|