giitaayan An Interface to ISB

do dilo.n ko ye duniyaa - Chand (1944)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Manju 
View in Nagari (Hindi)
do dilo.n ko ye duniyaa milane hii nahii.n detii aashaao.n kii kaliyo.n ko khilane hii nahii.n detii ik baaG me.n kyaa dekhaa bulbul vahaa.n rotaa thaa aur paas kha.Daa maalii kuchh haar pirotaa thaa dil chiir ke ik phuul kaa Kush kitanaa vo hotaa thaa bulbul thaa ta.Dap jaataa jab suu_ii chabhotaa thaa dukh sah na sakaa bulbul kuchh kah na sakaa bulbul phir bahane lage aa.Nsuu aur kahane lage aa.Nsuu Kyaa ? do dilo.n ko ye duniyaa ... tum mujh se ye phuuchho ge kyaa phuul kii haalat thii ruuThaa hu_aa maalii thaa biga.Dii hu_ii qisamat thii aa.Nkho.n me.n to aa.Nsuu the bechain tabiat thii sunasaan thaa dil usakaa barabaad muhabbat thii bulbul se judaa ho kar maalii se Kafaa ho kar kaa.nTo.n me.n lagaa rahane aur phuul lagaa kahane kyaa ? do dilo.n ko ye duniyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.