giitaayan An Interface to ISB

ik thaa bachapan - Aashirwad (1968)  

Lyrics: Gulzar | Music: Vasant Desai | Singer(s): Lata, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
ik thaa bachapan, ik thaa bachapan chhoTaa saa nanhaa saa bachapan, ik thaa bachpan bachapan ke ik baabuujii the, achchhe sachche baabuujii the dono.n kaa su.ndar thaa ba.ndhan, ik thaa bachapan Tehanii par cha.Dhake jab phuul bulaate the haath usake vo Tehanii tak naa jaate the bachapan ke nanhe do haath uThaakar vo phuulo.n se haath milaate the ik thaa bachapan, ik thaa bachapan chalate chalate, chalate chalate jaane kab in raaho.n me.n baabuujii bas gaye bachapan ki baaho.n me.n muTThi me.n ban.d hai.n vo suukhe phuul bhii khushabuu hai jiine kii chaaho.n me.n ik thaa bachapan, ik thaa bachapan ho.NTho.n par unakii awaaz bhii hai, mere ho.NTho.n par unakii awaaz bhii hai saa.Nso.n me.n sau.Npaa vishwaas bhii hai jaane kis mod pe kab mil jaaye.nge wo, puuchhe.nge bachapan kaa ehasaas bhii hai ik thaa bachapan, ik thaa bachapan...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.