guzarii thii raat aadhii khaamosh thaa zamaanaa
jalate hu_e dilo.n kaa sun le zaraa fasaanaa
guzarii thii raat aadhii
uThii jo aah dhuaa.N banake aashiyaano.n se
sitaare jhaa.Nk ke bole ye aasamano.n se
dhu_aa.N ye kaisaa hai dekho lagii hai aag kahii.n
chalo ghaThaao.n se kah de.n ki jal rahii hai zamii.n
guzarii thii raat aadhii...
ye shor chaa.Nd bhii taaro.n kaa sun rahaa thaa kahii.n
lagaa ishaaro.n se kahane nahii ye baat nahii
zamiin par jo bechaare gariib basate hai.n
ghamo.n ki aag me ye dil unhii ke jalate hai.n
guzarii thii raat aadhii..
sitaare bole samandar me kyaa ravaanii nahii
bujhaade aag ko kyaa baadalo.n me paanii nahii
kahaa ye chaa.Nd ne jab dil me aag lagatii hai
to baadalo.n se nahii aa.Nsu_o.n se bujhatii hai
guzarii thii raat aadhii..
|