giitaayan An Interface to ISB

ye samaa.n ye nazaare kho ga_e hai.n - Dhaai Akshar Prem Ke/ Love is The Only Inspiration (2000)  

Lyrics: Sameer | Music: Jatin-Lalit | Singer(s): Babul Supriyo, Anuradha Paudwal 
View in Nagari (Hindi)
ye samaa.n ye nazaare kho ga_e hai.n ham kasam se tumhaare ho ga_e hai.n rahataa hai dil jaane kahaa.n betaab se ham hai.n yahaa.n zubaa.n pe in labo.n pe bas teraa naam hai begaane is jahaa.n mee.n kyaa hame.n kaam hai ye samaa.n ye nazaare ... ajii tumase jabase muhabbat hu_ii hamaarii ajab sii ye haalat hu_ii tumane khataa kii dil luuTane kii tumako milii hai isakii sazaa ye samaa.n ye nazaare ... du_aa me.n tumhe.n maa.nganaa aa gayaa hame.n raat bhar jaaganaa aa gayaa sach kah rahe hai.n dard-e-jigar kaa hotaa hai dilabar apanaa mazaa ye samaa.n ye nazaare ... hame.n baazu_o.n me.n chhupaa lo sanam ye chaahat hai kaisii bataa_o sanam Dar lag rahaa hai madahoshiyo.n me.n ham kar na baiThe.n ko_ii khataa ye samaa.n ye nazaare ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.